Wednesday, June 17, 2009

...

Rangoon ki tanvir hamesha rehti hai
Khushboo ki tauqeer hamesha rehti hai

Khwaab to hain phir khwaab, bikhar hi jaate hain
Par khwaabon ki taabeer hamesha rehti hai

Rang to aksar ur jaate hain chehron se
Lafzon ki tasveer hamesha rehti hai

Tujh ko dekha hai to yeh mehsoos howa
Aankhon ki tehreer hamesha rehti hai

Dukh aur sukh hum baant to lain milkar jaana
Leikin ye taqdeer hamesha rehti hai

Kiya hota hai tinkon ka anjaam kaho
Phir bhi tadbeer hamesha rehti hai

Un dekhe kuch rishtay aise hote hain
Pairon mei zanjeer hamesha rehti hai

.

No comments:

Life

 Ajeeb mukaam par thehra hai qaafila zindagi ka Sukoon dhoondne chale thay, neend bhi gawa baithay That rings so true when you think about i...